Thursday, May 13, 2010

BAS Maa

Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne

Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne

Abhi Tak Wo Bachpane Ki Yadein Hain Baqi

Aur Wo Bachpane Ki Batein Hain Baqi

Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar

Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar

Paida Huwa Tha To Kuch Nahi Tha Mein

Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kya Kya Mein

Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar

Acha Ho Jo Dedoon Dil Tohfay Mein Agar

Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain

Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Soog Hotay Hain

Kuch Logoon Ke Liye Maa Ko Choorte Nahi

Chahay Kuch Ho Jaye Moo Moortey Nahi

Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain

Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain

Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe

Aur Wo Mujhe Pyar Karey Meri Issi Ada Pe

Maa Se Mujhe Meri Koi Juda Na Karey

Karoo Pyar Kissi Aur Se Khuda Na Karay